Sunday, June 5, 2011

Re: (VU-Study-Corner) Poetry Corner...

Marti hui zameen ko bachana para mujhe
Baadal ki tarha dasht mein aana para mujhe

Wo kar nahi raha tha meri baat ka yakeen
Phir Uu hua k mar k dikhana para mujhe

Bhooley se meri simat koi dekhta na tha
Chehray pe ik zakhm sajana para mujhe

Yaadien Thien Dafan Asii K Baad Az FrOkht Bhii
Us Ghar Ki Dekh Bhal kO jAna Para mUjhey

Us ajnabi se haath milanay k waastay
Mehfil mein sab se haath milana para mujhe

Us be-wafa ki yaad dilata tha baar baar
Kal aeeney pe haath uthana para mujhe

Aise bicharay k usne to mar jana he achha
Uski nazar mein khudko girana para mujhe



On Sun, Jun 5, 2011 at 10:46 AM, shehnaz perveen <shehnazsheni@gmail.com> wrote:
ham cheein lyn gy tum sy yai ada-e-bainiazi............
tum manganty phiroo gy apna garoor ham sy.........

On Sat, Jun 4, 2011 at 10:39 PM, Haya <luckasma123@gmail.com> wrote:
Chhoota Jo Tera Haath Tou Hum Toot Ke Roye

Chhoota Jo Tera Haath Tou Hum Toot Ke Roye
Tum Jo Na Rahay Saath Tou Hum Toot Ke Roye

Chaahat Ki Taman'na Thi Aur Zakhm Diye Tum Ne
Paayi Jo Yeh Saughaat Tou Hum Toot Ke Roye

Imkaan Na Tha Duur Talak Tajdeed-e-Ta'alluq Ka
Dekhay Jo Yeh Haalaat Tou Hum Toot Ke Roye

Anjaan Thay Hum Ab Tak Dard Ki Soorat Se
Hui Jo Mulaaqaat Tou Hum Toot Ke Roye

Jeeti Thi Sadaa Hum Ne HAr Baazi Teray Saath
Tanha Jo Sahi Maat Tou Hum Toot Ke Roye

Logo'n Ne Bahut Poochha Sabab Veraani-e-Dil Ka
Jab Ho Na Saki Baat Tou Hum Toot Ke Roye

Thi Dhoop Bahut Taiz Har Simt Judaayi Ki
Barsi Jo Na Barsaat Tou Hum Toot Ke Roye

Zad Mein Tha Khizaao'n Ki Ab Ke Dil-e-Barbaad
Bichhrray Jo Shajar-Paat Tou Hum Toot Ke Roye

Din Bhar Tou Rahay Chup Keh Duniya Ki Nazar Thi
Bheegi Jo Siaah Raat Tou Hum Toot Ke Roye

Samjha Tha Sadaa Tujh Ko Apna He Koi Hissa
Tukrro'n Mein Bati Zaat Tou Hum Toot Ke Roye

Hum Kartay Rahay Aaj Talak 'Uss Chaand' Ki Khwahish
Yaad Aayi Jo Auqaat Tou Hum Toot Ke Roye
--
Join us at facebook: https://www.facebook.com/VU.Study.Corner
 
Group Link: http://groups.google.com/group/VU-Study-Corner?hl=en
 
Group Rules: http://groups.google.com/group/VU-Study-Corner/web/group-rules
 
Unsubscribe: VU-Study-Corner+unsubscribe@googlegroups.com
 
Adult contents, Spamming, Immoral & Rudish talk, Cell number, Websites & Groups links specially in paper days are strictly prohibited and banned in group.



--
''AYE MAIRE JANOON YAI TAIRE DUNIA HI NAHI HAI''

--
Join us at facebook: https://www.facebook.com/VU.Study.Corner
 
Group Link: http://groups.google.com/group/VU-Study-Corner?hl=en
 
Group Rules: http://groups.google.com/group/VU-Study-Corner/web/group-rules
 
Unsubscribe: VU-Study-Corner+unsubscribe@googlegroups.com
 
Adult contents, Spamming, Immoral & Rudish talk, Cell number, Websites & Groups links specially in paper days are strictly prohibited and banned in group.



--
                                                                        ``````!F.S!`````   

Life Laugh At U When U R Unhappy......Life Smiles At U When U R Happy.....Life Salutes U When U  Make Others Happy
Easy Is To Judge The  Mistakes Of Others.............................But Difficult Is To Recognize Our Own Mistakes
It Is Easier 2 Protect UR Feet With Slipper...........................................Than To Cover The Earth With Carpet
No 1 Can Go Back And Changed A Bad Beginning................... But Any 1 Can Start Now And Create A Successful Ending
If A Problem Can Be Solved, No Need To Worry About It....................If A Problem Cannot Be Solved What Is The Use Of Worrying?


Mujhe Apne Zabt Pe Naaz Tha, Sar-e_Bazam Raat Yeh Kiya Howa
Meri Aankh Kaise Chalak Gai, Mujhe Runj He Yeh Bura Howa
Meri Zindagi Ke Charaagh Ka, Yeh Mazaaj Koi Niya Nahi
Kabhi Roshni Kabhi Tergi, Na Jala Howa Na Bujha Howa
Jo Nazar Bacha Ke Guzar Gaye, Mere Samne Se Abhi Abhi
Yehi Mere Shehr Ke Log The, Mere Ghar Se Ghar He Mila Howa
Mujhe Jo Bhi Dushman-e-Jaan Mila, Woh Pukhta Kaar-e-Jafa Mila
Na Kisi Ki Zarb Ghalat Pari, Na Kisi Ka Teer Khata Howa
Mujhe Humsafar Bhi Mila Koi, To Shakista Haal Meri Tarah
Kai Manzlon Ka Thaka Howa, Kahen Raaste Main Luta Howa
Mujhe Kiyon Na Ap Samjh Sake, Yeh Khud Apne Dil Se Pochiye
Meri Daastaan-e-Hayat Ka, Te Warq Warq He Khula Howa
Mujhe Aik Gali Main Para Howa, Aik Badnaseeb Ka Khat Mila
Kahen Khoon-e-Dil Se Likha Howa, Kahen Aansoon Se Mitta Howa
Humen Apne Ghar Se Chale Howe, Sar-e-Raah Umer Guzar Gai
Na Kisi Justujo Ka Sila Mila, Na Safar Ka Haq Hi Adaa Howa


--
Join us at facebook: https://www.facebook.com/VU.Study.Corner
 
Group Link: http://groups.google.com/group/VU-Study-Corner?hl=en
 
Group Rules: http://groups.google.com/group/VU-Study-Corner/web/group-rules
 
Unsubscribe: VU-Study-Corner+unsubscribe@googlegroups.com
 
Adult contents, Spamming, Immoral & Rudish talk, Cell number, Websites & Groups links specially in paper days are strictly prohibited and banned in group.

No comments:

Post a Comment